Muscat — Aik Pur-Sukoon Arabi Shehar
Muscat Middle East ke un chand shehron mein hai jo apna asli character save kiye hue hain — koi sky-scrapers nahi, sab imaartein safed aur low-rise. Yeh shehar Gulf of Oman ke kinaray basi hui hai.
Top Attractions
- Sultan Qaboos Grand Mosque — duniya ka doosra sab se bara Persian carpet yahan hai
- Muttrah Souq — traditional Omani market, frankincense aur silver jewelry
- Royal Opera House — architecture kamaal ka
- Wadi Shab — 90 minute drive, hiking aur natural pools
- Jebel Akhdar — mountain retreat, rose gardens
Culture Tips
Oman conservative country hai — modest clothing, khaas kar mosques mein zaroori. Locals bohat friendly aur helpful hain.
Behtareen Waqt
October se April. May-September mein 45°C+ heat hoti hai.
Visa
Pakistani passport holders ke liye e-visa available hai.





